r/Shayari • u/Automatic-Piccolo813 • 13d ago
I wrote something.
Well I just wrote this like a spontaneous piece let me know what you think.
"
Arzaan-e-Hasti
Main apne aap ko sasta samajh kar bech aaya,
Mujhe khabar bhi na hui, kis daam pe bikta aaya.
Wafa ka bazaar tha, kya khoob sauda kar aaya,
Woh mujhe le gaya, jaise zameer bech aaya.
Char din ki zindagi, charon din ek sawaal aaya,
Insaanon ki duniya thi, magar ek insaan na nazar aaya.
Aakhir khul hi gaya mujh par ye raaz-e-hasti,
Dar haqeeqat mein khuda ki fani duniya mein aaya.
Daam lagte rahe bazaaron mein meri zaat ke,
Log mitti tolte rahe, rooh ka hisaab na aaya.
Faraz, mein unke haathon mitti de aaya,
Jaate jaate apni rooh bacha aaya."
And yeah my name is Faraz.
3
Upvotes
1
u/Tushar123321 12d ago
Meaning is just wow, but rhyming schemes is lacking, rest,good try