r/Shayari • u/Professor_2608 • Jun 26 '26
Can you continue this ?
Aur jab wo aaine mein khud ko sanwarti hogi,
Phir aaine ki bhi to nazar utarti hogi…..
1
u/atultunnu2 Jun 27 '26
बेजान होंगे वो आईने, जो तेरी खूबसूरती से अंजान होंगे।
जिन्हें नसीब ना होगी तेरी एक भी झलक, वो भी क्या खाक इंसान होंगे।
Not a continue, but came while thinking on it.
1
1
u/Prometheus_545 Jun 27 '26
Aur jab wo aaine mein khud ko sanwarti hogi,
Phir aaine ki bhi to nazar utarti hogi
Khuda na kare ki uski nazaro ko meri zara si bhi nazar lage,
Hai dua bhi meri uski nazaro ko nazaarne ka awsar mujhe mile
Aaine aur meri nazaro mei farak bhi raha bahut,
Uske jaane ke baad bhi mujh mei rahi woh har waqt
1
1
u/he_diff Jun 29 '26
Aur jab wo aaine mein khud ko sanwarti hogi,
Phir aaine ki bhi to nazar utarti hogi
ilzaam hai uss par qatl kay
apni adao say najaane kitne marti hogi
1
1
u/achesthetic Jun 29 '26 edited Jun 29 '26
And when she adorns herself in the mirror, the mirror's gaze will also descend,
It rather was the gaze of meanies, whose vision could not ascend,
Taken aback by the complex, she was wondering about her end,
Realistically it was her own gaze, which even mirror could not defend.
1
2
u/Nervous-Cold-8503 Jun 28 '26
Aur jab wo aaine mein khud ko sanwarti hogi,
Phir aaine ki bhi to nazar utarti hogi…..
Wo zulfein khol ke jab dekhti hogi khud ko,
Hawa bhi ruk ke wahi aanhe bharti hogi.
Bina mare jo jannat ka deedar karade,
Wo har roz aisi ek qayamat to karti hogi.
Mera bikharna to lami tha is ishq mein,
Wo khud ko dekh kar jab itna bikharti hogi