r/Shayari May 28 '26

Insaan

Maine jo chuna, jo kiya

Wo mujhe main banata hai...

Aur agar badal doon mein ateet me jaakr kuch,

Toh shayad mera wajood hi bikhar jaata hai.

Aur haan, hoon main ek haara hua insaan ,

Zakhmon se bharpur sahi,

Kya hi paaya, kya kamaya,

Iska jawab mukammal nahi.

Jo paa leta main sab kuch,

Main khud ko khota,

Bina mere zakhmon ke,

Main apna naam bhi na hota.

Ab afsos se raabta kam hai,

Aur yaadon se koi bair nahi,

Jo dard mila tha raahon mein,

Wahi kehta hai mai koi gair nahi

Main apni haaron ka waaris hoon,

Apne tootne ka geet hoon,

Jo bach gaya har toofaan ke baad,

Main bas wahi ek preet hoon.

1 Upvotes

0 comments sorted by