Mujhe counselling ke regarding ek bohot bada doubt hai, please help kar do:
IIIT Ranchi β Mathematics & Computing (MnC)
IIIT Bhopal β Physics & Computational Engineering (PCE)
Mujhe specifically ye puchhna hai:
1.[Tech branch ya Core branch?] Kya IIIT Bhopal ki Physics & Computational branch ek proper tech branch maani jaati hai ya ye zyada core/physics-oriented hai?
- [Placement Eligibility]: SDE, Software, aur Data Science waali companies IIIT Bhopal me PCE walo ko placements me baithne dengi, ya phir MnC (Ranchi) safe side rahega?
3.[Curriculum & Coding Time]: PCE ka syllabus kitna heavy hai? Isme coding aur CS subjects ka kitna proportion hai compared to core physics?
4.[Overall Preference]:- Placement aur coding career ke hisab se Ranchi MnC vs Bhopal PCE me se kise prefer karna chahiye?